Four Line Urdu Shayari is one of the most beautiful ways to express the emotions and feelings of the heart. In this collection, you will find a latest and modern selection of poetry that helps you express your heartfelt emotions of love in beautiful words.
This section features specially selected four line Urdu shayari for those who wish to communicate with their loved ones and friends through the beauty of poetry. We hope our collection of four line Urdu shayari meets your expectations and helps you find the perfect words to express your feelings.
Romantic Four Line Shayari in Urdu
قہقہے ماریے کہ اے ہمدم
دل بڑا سوگوار بیٹھا ہے
اب یہاں میں نہیں ہوں میرے دوست
اب یہاں انتظار بیٹھا ہے
Qahqahay maariye ke aye hamdam
Dil bara sogwaar baitha hai
Ab yahan main nahi hoon mere dost
Ab yahan intezar baitha hai
خیال و خواب کی دنیا کے دل شکستہ دوست
تری حیات میری زندگی کا خاکہ ہے
غمِ نگار و غمِ کائنات کے ہاتھوں
تیرے لبوں پہ خموشی ہے مجھ کو سکتہ ہے
Khayal-o-khwab ki duniya ke dil shikasta dost
Teri hayat meri zindagi ka khaka hai
Gham-e-nigar-o-gham-e-kainat ke hathon
Tere labon pe khamoshi hai mujh ko sakta hai

رنج اتنے ہیں کہ آتی نہیں باری اپنی
روز لکھتا ہے قلمکار کسی اور کا دکھ
تاکہ مجھ کو نہ میرے دکھ کی صدائیں آئیں
اب میں سنتا ہوں لگاتار کسی اور کا دکھ
Ranj itne hain ke aati nahi baari apni
Roz likhta hai qalamkar kisi aur ka dukh
Taake mujh ko na mere dukh ki sadaein aaein
Ab main sunta hoon lagataar kisi aur ka dukh
واسطہ حسن سے کیا شدتِ جذبات سے کیا
عشق کو تیرے قبیلے یا میری ذات سے کیا
میری مصروف طبیعت بھی کہاں روک سکی
وہ تو یاد آتا ہے اسکو میرے دن رات سے کیا
Wasta husn se kya shiddat-e-jazbaat se kya
Ishq ko tere qabeelay ya meri zaat se kya
Meri masroof tabiyat bhi kahan rok saki
Woh to yaad aata hai usko mere din raat se kya
قافلے منزلِ مہتاب کی جانب ہیں رواں
میری راہوں میں تیری زلف کے بَل آتے ہیں
میں وہ آوارہ تقدیر ہوں یزداں کی قسم
لوگ دیوانہ سمجھ کر مجھے سمجھاتے ہیں
Qaflay manzil-e-mahtaab ki janib hain rawan
Meri raahon mein teri zulf ke bal aate hain
Main woh awara-e-taqdeer hoon Yazdan ki qasam
Log deewana samajh kar mujhe samjhate hain

اب اس بھرم میں ہر اک رات کاٹنی ہے مجھے
کہ آنے والی تیرے ساتھ کاٹنی ہے مجھے
تجھے دلانا ہے احساس اپنے اس دکھ کا
تو کچھ تو بول تیری بات کاٹنی ہے مجھے
Ab is bharam mein har ik raat kaatni hai mujhe
Ke aane wali tere saath kaatni hai mujhe
Tujhe dilana hai ehsaas apne is dukh ka
Tu kuch to bol teri baat kaatni hai mujhe
Best Four Line Urdu Shayari
جب تیرے واسطے گھر چھوڑ دیا جاتا ہے
دربدر ہونے کا ڈر چھوڑ دیا جاتا ہے
ہم تو وہ ہیں کہ جنہیں مثلِ تمنائے زیاں
دیکھ کر ایک نظر چھوڑ دیا جاتا ہے
Jab tere waste ghar chhor diya jata hai
Darbadar hone ka dar chhor diya jata hai
Hum to woh hain ke jinhein misl-e-tamanna-e-ziyan
Dekh kar ek nazar chhor diya jata hai
شامِ فراق اب نہ پوچھ آئی اور آ کے ٹل گئی
دل تھا کہ پھر بہل گیا جاں تھی کہ پھر سنبھل گئی
بزمِ خیال میں تیرے حسن کی شمع جل گئی
درد کا چاند بجھ گیا ہجر کی رات ڈھل گئی
Shaam-e-firaaq ab na pooch aayi aur aa ke tal gayi
Dil tha ke phir behal gaya jaan thi ke phir sambhal gayi
Bazm-e-khayal mein tere husn ki shama jal gayi
Dard ka chaand bujh gaya hijr ki raat dhal gayi

تیری آنکھوں کی چمک دل میں اترتی ہی گئی
رات تنہائی کی تھی یاد تیری جلتی گئی
تیرا تصور جو آیا تو سکوں ملنے لگا
ورنہ ہر سانس مرثے دل پہ گراں گزرتی گئی
Teri aankhon ki chamak dil mein utarti hi gayi
Raat tanhai ki thi yaad teri jalti gayi
Tera tasawwur jo aaya to sukoon milne laga
Warna har saans marsiye dil pe giraan guzarti gayi
If you enjoy reading Urdu poetry about love and emotions, explore our collection of 4 Lines Urdu Love Poetry
اُٹھ رہی ہے کہیں قربت سے تیری سانس کی آنچ
اپنی خوشبو میں سلگتی ہوئی مدھم مدھم
دور اُفق پار چمکتی ہوئی قطرہ قطرہ
گر رہی ہے تیری دلدار نظر کی شبنم
Uth rahi hai kahin qurbat se teri saans ki aanch
Apni khushboo mein sulagti hui maddham maddham
Door ufaq paar chamakti hui qatra qatra
Gir rahi hai teri dildar nazar ki shabnam
پھر یوں ہوا کہ بات جدائی تک آگئی
خود کو تیرے مزاج میں ڈھالا نہیں گیا
تو نے کہا تو تیری تمنا بھی چھوڑ دی
تیری کسی بھی بات کو ٹالا نہیں گیا
Phir yun hua ke baat judai tak aa gayi
Khud ko tere mizaj mein dhaala nahi gaya
Tu ne kaha to teri tamanna bhi chhor di
Teri kisi bhi baat ko taala nahi gaya

عقل عیار ہے سو بھیس بنا لیتی ہے
عشق بیچارہ نہ مُلا ہے نہ زاہد نہ حکیم
عیش منزل ہے غریبانِ محبت پہ حرام
سب مسافر ہیں بظاہر نظر آتے ہیں مقیم
Aqal ayyar hai sau bhes bana leti hai
Ishq bechara na mulla hai na zahid na hakeem
Aish manzil hai ghareeban-e-mohabbat pe haraam
Sab musafir hain bazahir nazar aate hain muqeem
کون آ گیا تھا میرے خواب کے دیار میں
جانے کس کو ڈھونڈنے دور تک نظر گئی
پہلے تو الجھ گیا تھا میں مہ و نجوم میں
بعد میں مری نظر تیرے حسن پر گئی
Kaun aa gaya tha mere khwab ke dayaar mein
Jaane kis ko dhoondhne door tak nazar gayi
Pehle to ulajh gaya tha main mah-o-nujoom mein
Baad mein meri nazar tere husn par gayi
دن کی اک اک بوند گراں ہے اک اک جرعہِ شب نایاب
شام و سحر کے پیمانے میں جو کچھ ہے ڈر ڈر کے پیو
آہستہ آہستہ برتو ان گنتی کی سانسوں کو
دل کے ہاتھ میں شیشہِ جاں ہے قطرہ قطرہ کر کے پیو
Din ki ik ik boond giraan hai ik ik jur’a-e-shab nayab
Shaam-o-sahar ke paimane mein jo kuch hai dar dar ke piyo
Aahista aahista barto in ginti ki saanson ko
Dil ke haath mein sheesha-e-jaan hai qatra qatra kar ke piyo

جس کی باتوں کے فسانے لکھے
اس نے تو کچھ نہ کہا تھا شاید
خون دل میں تو ڈبویا تھا قلم
اور پھر کچھ نہ لکھا تھا شاید
Jis ki baaton ke fasane likhe
Us ne to kuch na kaha tha shayad
Khoon-e-dil mein to duboya tha qalam
Aur phir kuch na likha tha shayad
Heart Touching Urdu Four Line Shayari
انہیں پتھروں پہ چل کر اگر آ سکو تو آؤ
میرے گھر کے راستے میں کوئی کہکشاں نہیں ہے
میری روح کی حقیقت میرے آنسوؤں سے پوچھو
میرا مجلسی تبسم میرا ترجماں نہیں ہے
Unhein pattharon pe chal kar agar aa sako to aao
Mere ghar ke raste mein koi kahkashan nahi hai
Meri rooh ki haqeeqat mere aansuon se poochho
Mera majlisi tabassum mera tarjuman nahi hai
کیا تیز پا تھے دن کی تمازت کے قافلے
ہاتھوں سے رشتہِ شبِ افسانہ چُھٹ گیا
اک دن حساب ہو گا کہ دنیا کے واسطے
کن صاحبوں کا مسلکِ رندانہ چُھٹ گیا
Kya tez paa the din ki tamazat ke qaflay
Haathon se rishta-e-shab-e-afsana chhoot gaya
Ik din hisaab hoga ke duniya ke waste
Kin sahibon ka maslak-e-rindana chhoot gaya

شام دھندلانے لگی اور میری تنہائی
دل میں پتھر کی طرح بیٹھ گئی
چاند ابھرنے لگا یک بار تیری یاد کے ساتھ
زندگی مونس و غم خوار نظر آنے لگی
Shaam dhundlane lagi aur meri tanhai
Dil mein patthar ki tarah baith gayi
Chaand ubharne laga yakbaar teri yaad ke saath
Zindagi monis-o-ghamkhwar nazar aane lagi
اور بھی لوگ میرے ساتھ سفر کرتے ہیں
کر نہ دینا کسی منزل کے حوالے مجھ کو
یہ میری قبر میرا آخری مسکن ہے نعیم
کس میں دم ہے جو میرے گھر سے نکالے مجھ کو
Aur bhi log mere saath safar karte hain
Kar na dena kisi manzil ke hawale mujh ko
Yeh meri qabr mera aakhri maskan hai Naeem
Kis mein dam hai jo mere ghar se nikale mujh ko
بشر کے روپ میں اک دل رُبا طلِسـم بنے
شفق میں دھوپ ملائیں تو اُس کاجِسم بنے
وہ معجزات کی حد تک پہنچ گیا ہے قتیل
حروف کوئی بھی لکھوں اُسی کا اسم بنے
Bashar ke roop mein ik dilruba tilism bane
Shafaq mein dhoop milayein to us ka jism bane
Woh mojizat ki had tak pahunch gaya hai Qateel
Huroof koi bhi likhoon usi ka ism bane

جنہیں لگتا ہے ہم غزلوں میں تیری بات کرتے ہیں
بڑے نادان ہیں وہ لوگ کیسی بات کرتے ہیں؟
میں لڑ کر جب بھی اس سے دور ہوتا تھا تو وہ لڑکی
پکڑ کر ہاتھ میرا بولتی تھی بات کرتے ہیں
Jinhein lagta hai hum ghazlon mein teri baat karte hain
Baray nadaan hain woh log kaisi baat karte hain?
Main lar kar jab bhi us se door hota tha to woh larki
Pakarr kar haath mera bolti thi baat karte hain
منتظر ہوں کہ کوئی اور بھی چاہے تجھ کو
آئے اور آ کے میرا بارِ طلب آدھا کرے
اتنی آوازیں ہیں اور ایک بھی ایسی نہیں ہے
جانے والوں کو جو آنے پہ آمادہ کرے
Muntazir hoon ke koi aur bhi chahe tujh ko
Aaye aur aa ke mera baar-e-talab aadha kare
Itni aawazein hain aur ek bhi aisi nahi hai
Jaane walon ko jo aane pe aamada kare
غم بھی وقتی ہے اذیت بھی نہیں رہنی ہے
تو نے جانا ہے اور محبت بھی نہیں رہنی ہے
تیری دو پل کی توجہ کا طلبگار ہوں آج
رفتہ رفتہ یہ شکایت بھی نہیں رہنی ہے
Gham bhi waqti hai aziyat bhi nahi rehni hai
Tu ne jana hai aur mohabbat bhi nahi rehni hai
Teri do pal ki tawajjo ka talabgaar hoon aaj
Rafta rafta yeh shikayat bhi nahi rehni hai

ایک ہی شخص سے محبت کی
ایک ہی خواب عمر بھر دیکھا
کاش اسے ایسے دیکھ سکتا میں
جیسے مٹی نے کوزہ گر دیکھا
Ek hi shakhs se mohabbat ki
Ek hi khwab umr bhar dekha
Kaash use aise dekh sakta main
Jaise mitti ne koza gar dekha
تیرے رونے سے بگڑتے ہیں خدوخال میرے
تیرا ہنسنا میری قسمت کا سنور جانا ہے
یہ بھی اک ذہنی اذیت ہے مسافر کو اگر
گھر پہنچ کر بھی یہ لگتا ہے کہ گھر جانا ہے
Tere rone se bigarte hain khad-o-khaal mere
Tera hansna meri qismat ka sanwar jana hai
Yeh bhi ik zehni aziyat hai musafir ko agar
Ghar pahunch kar bhi yeh lagta hai ke ghar jana hai
بھلے زمانہ ہوا وہ نظر نہیں آیا
خیالِ ترکِ تعلق مگر نہیں آیا
میں آ گیا ہوں تیرے پاس بے خیالی میں
کسی خیال کے زیرِ اثر نہیں آیا
Bhale zamana hua woh nazar nahi aaya
Khayal-e-tark-e-talluq magar nahi aaya
Main aa gaya hoon tere paas be-khayali mein
Kisi khayal ke zer-e-asar nahi aaya

بچھڑنے کے اشارے دے گئے وہ
خسارے ہی خسارے دے گئے وہ
کہوں میں کیسے خود کو بے سہارا
کہ یادوں کے سہارے دے گئے وہ
Bichharne ke ishaare de gaye woh
Khasare hi khasare de gaye woh
Kahoon main kaise khud ko be-sahara
Ke yaadon ke sahare de gaye woh
دل جو ہوتا ہے حزیں بیٹھ کے رو لیتے ہیں
جانے والوں کو کہیں بیٹھ کے رو لیتے ہیں
یاد آتا ہے جب تجھ سے جدائی کا سبب
پیٹ لیتے ہیں جبیں بیٹھ کے رو لیتے ہیں
Dil jo hota hai hazeen baith ke ro lete hain
Jaane walon ko kahin baith ke ro lete hain
Yaad aata hai jab tujh se judai ka sabab
Peet lete hain jabeen baith ke ro lete hain
ہائے وہ دن کے جھجھکتے ہوئے جب پہلی بار
میں نے بولا تھا کہ یہ پھول تمہارے لیے ہے
جب وہ کہتی تھی کہ میرے لیے اک شعر کہو
میں یہ کہتا تھا کہ ہر شعر تمہارے لیے ہے
Haaye woh din ke jhijhakte hue jab pehli baar
Main ne bola tha ke yeh phool tumhare liye hai
Jab woh kehti thi ke mere liye ik sher kaho
Main yeh kehta tha ke har sher tumhare liye hai

تم کبھی شام کے کچھ بعد کا منظر دیکھو
سرخ آنکھوں کے کناروں پہ سمندر دیکھو
کتنے غمگین ہیں باہر سے یہ ہنسنے والے
وقت پاؤ تو کبھی جھانک کے اندر دیکھو
Tum kabhi shaam ke kuch baad ka manzar dekho
Surkh aankhon ke kinaron pe samandar dekho
Kitne ghamgeen hain bahar se yeh hansne wale
Waqt pao to kabhi jhaank ke andar dekho
زلزلہ درد کا جب آئے تو جان بچ جائے
دل کی جانب کوئی تہخانہ بنا لیتے ہیں
ہر دفعہ سوچتے ہیں اب نہیں بننا ہم نے
ہر دفعہ وہ ہمیں دیوانہ بنا لیتے ہیں
Zalzala dard ka jab aaye to jaan bach jaye
Dil ki janib koi tehkhana bana lete hain
Har dafa sochte hain ab nahi banna hum ne
Har dafa woh humein deewana bana lete hain
صد خطا وار ہیں لیکن یہ جسارت نہیں کی
ہم نے خوش رہ کے تیرے غم سے خیانت نہیں کی
ہم نے بے سود تیرے ساتھ محبت کی ہے
اتنی بے سود کہ پانے کی بھی چاہت نہیں کی
Sad khatawar hain lekin yeh jurrat nahi ki
Hum ne khush reh ke tere gham se khayanat nahi ki
Hum ne be-sood tere saath mohabbat ki hai
Itni be-sood ke paane ki bhi chahat nahi ki
Conclusion
Lastly, we would like to mention that it has always been the aim of Farooqi Writes to offer its readers high-quality, unique, and touching contents that are not just appealing to their taste buds but that appeal to their deep emotions and feelings as well. It is our wish that each and every written content and poem and poetry collection that we share make you happy and bring about many beautiful memories.
Trust and love of our readers are some of our biggest accomplishments, and we are still dedicated to offering you the best literary contents with the same sincerity, dedication, and passion in the future.
Your suggestions regarding recommending this anthology to your relatives and friends as well as fellow poetry lovers will be greatly appreciated since beautiful poetry takes on even more significance when it is shared with someone who knows how to appreciate it. It is your encouragement and feedback that motivate us to produce more content.
We would like to thank you for becoming a part of the FarooqiWrites journey where words speak the emotions of the heart through poetry.


